Monday, 22 February 2010

Gham ka pyala.

Mohabbat ke woh lamhe...

Na hum bhula sake na tum,

Waqt ne yeh kya sila kiya...

Na tum samaj sake na hum.


Unka yun sharmakar muskurana,

Aur musrakar yun nazren churana,

Maano humse kehti thi,

Hamen kahin dur le jaana.


Pyar ke Aangan mein,

Hamara phool khilta nazar aaya.

Jeevan ke is bageeche ka,

Hamen guldasta milta nazar aaya.


Fir achanak ek din,

Ek bijli joh kadki,

Mere aashiyane ko maano,

Banjar sa bana gayi.


Woh humse jab mili,

Unki aankhen bhar aayi,

Dil par pathar rakhkar,

Unke shaadi ka paigaam woh layi.


Ek hi pal mein maano,

Judaai ka zakhm laga diya.

Bedard zamaane ne maano,

Gham ka pyala pila diya...


(Again, one of my first attempts at writing discovered by my bro. Thanks buddy! )




No comments:

Post a Comment